ham ko to bas pyaas dikhaana hota tha
us ko dariya ban kar aana hota tha
mujh ko koi dhun jab sunni hoti thi
us ko apna aankh dikhaana hota tha
jab jab bhi mujh ko marne ki khwaahish thi
usne mujhko aag lagana hota tha
ham ko to bas ped lagaane hote the
tum ko bhi bas dasht jalana hota tha
tum bhi har pal mushkil mein hi rahte the
tumne bhi phir teer chalaana hota tha
mere ghar par ik dariya jo rahti thi
us ko sab ne aag banaana hota tha
meri dar deewarein cheekha karti theen
unko jab vehshat mein aana hota tha
us ladki ki baatein mujh par jaadu theen
har us pal jab jab main kaana hota tha
हम को तो बस प्यास दिखाना होता था
उस को दरिया बन कर आना होता था
मुझ को कोई धुन जब सुननी होती थी
उस को अपना आँख दिखाना होता था
जब जब भी मुझ को मरने की ख़्वाहिश थी
उसने मुझको आग लगाना होता था
हम को तो बस पेड़ लगाने होते थे
तुम को भी बस दश्त जलाना होता था
तुम भी हर पल मुश्किल में ही रहते थे
तुमने भी फिर तीर चलाना होता था
मेरे घर पर इक दरिया जो रहती थी
उस को सब ने आग बनाना होता था
मेरी दर दीवारें चीखा करती थीं
उनको जब वहशत में आना होता था
उस लड़की की बातें मुझ पर जादू थीं
हर उस पल जब जब मैं काना होता था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Maheshwar
our suggestion based on Maheshwar
As you were reading Ghar Shayari Shayari