uski chaahat mein kya hua dekho | उसकी चाहत में क्या हुआ देखो

  - Lokendra Faujdar 'Aham'

uski chaahat mein kya hua dekho
ik baras aur yun hi gaya dekho

mujhko ab qaid se rihaa kar de
kah raha hai ye aaina dekho

fans gaye tum bhi is bhulaiya mein
khud se baahar ka raasta dekho

main tumhein jaanta hoon itna to
tum na aaye ho bewajah dekho

chashm gar hain to sab hi dekhoge
dekho dekho na phir hawa dekho

chashm gesu badan lab o aariz
chhodo ye sab ki tum haya dekho

zaat o mazhab ki is ladai mein
haal yaan kya hai dharm ka dekho

उसकी चाहत में क्या हुआ देखो
इक बरस और यूँ ही गया, देखो

मुझको अब क़ैद से रिहा कर दे
कह रहा है ये आइना देखो

फँस गए तुम भी इस भुलैया में
ख़ुद से बाहर का रास्ता देखो

मैं तुम्हें जानता हूँ इतना तो
तुम न आए हो बेवजह, देखो

चश्म, गर हैं तो सब ही देखोगे?
देखो, देखो न फिर, हवा देखो

चश्म, गेसू, बदन, लब ओ आरिज़
छोड़ो ये सब कि तुम हया देखो

ज़ात ओ मज़हब की इस लड़ाई में
हाल यां क्या है धर्म का, देखो

  - Lokendra Faujdar 'Aham'

Naqab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lokendra Faujdar 'Aham'

As you were reading Shayari by Lokendra Faujdar 'Aham'

Similar Writers

our suggestion based on Lokendra Faujdar 'Aham'

Similar Moods

As you were reading Naqab Shayari Shayari