kahte ho tumne rooh dekheen jism ka khaaka nahin dekha | कहते हो तुमने रूह देखीं जिस्म का ख़ाका नहीं देखा - Anish Gumber

kahte ho tumne rooh dekheen jism ka khaaka nahin dekha
kya dekha phir dekha jo aankhon mein sehra nahin dekha

hijr mein ho mili qurbat jinko aashiq sacche hote hai
vasl ko ho paagal jo ho vo aashiq saccha nahin dekha

pakke ghar mein rahne waalon ke dil kacche dekhe hai
ghar kacche mein rahne waalon ka dil kaccha nahin dekha

dhaaga tootte dekha hai dekha hai judte baar kai
par judne ke baad kabhi vo dhaaga seedha nahin dekha

maa meri ko maine apne saamne jaata dekha hai
au tum kahte ho ke maine jaata apna nahin dekha

dekha hai khuli aankhon se ik sapna tumse milne ka
neend mein aayen sapne ko to hote poora nahin dekha

कहते हो तुमने रूह देखीं जिस्म का ख़ाका नहीं देखा
क्या देखा फिर देखा जो आँखों में सहरा नहीं देखा

हिज्र में हो मिली क़ुर्बत जिनको आशिक़ सच्चे होते है
वस्ल को हो पागल जो हो वो आशिक़ सच्चा नहीं देखा

पक्के घर में रहने वालों के दिल कच्चे देखे है
घर कच्चे में रहने वालों का दिल कच्चा नहीं देखा

धागा टूटते देखा है देखा है जुड़ते बार कई
पर जुड़ने के बाद कभी वो धागा सीधा नहीं देखा

माँ मेरी को मैंने अपने सामने जाता देखा है
औ तुम कहते हो के मैंने जाता अपना नहीं देखा

देखा है खुली आँखों से इक सपना तुमसे मिलने का
नींद में आयें सपने को तो होते पूरा नहीं देखा

- Anish Gumber
2 Likes

Mehboob Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anish Gumber

As you were reading Shayari by Anish Gumber

Similar Writers

our suggestion based on Anish Gumber

Similar Moods

As you were reading Mehboob Shayari Shayari