bas ik din
itna matlab hai mere iskool ke qisse ka
uske aage hosh nahin rehta tha baste ka
ham dono ik dooje ko khat likkha karte the
mujhko dhyaan nahin rehta tha number lene ka
vo mujhko apna kahti thi mujhmein rahti thi
dost se badhkar the par naam nahin tha rishte ka
dono baaton mein is darza khoye rahte the
hamko shauq nahin chadhta tha padhne likhne ka
gham mein hansne ke liye saath mein duniya hoti thi
jab vo hoti thi to man hota tha rone ka
bas ik din achaanak usne khat likhne chhod diye
ab bhi mujhe maaloom nahin sach iske peeche ka
uske dil ki vo jaane aur mere dil ki main
iske aage haq nahin mujhko kuchh bhi kehne ka
"बस, इक दिन"
इतना मतलब है मेरे इस्कूल के क़िस्से का
उसके आगे होश नहीं रहता था बस्ते का
हम दोनों इक दूजे को ख़त लिक्खा करते थे
मुझको ध्यान नहीं रहता था नंबर लेने का
वो मुझको अपना कहती थी मुझमें रहती थी
दोस्त से बढ़कर थे पर नाम नहीं था रिश्ते का
दोनों बातों में इस दर्ज़ा खोए रहते थे
हमको शौक़ नहीं चढ़ता था पढ़ने लिखने का
ग़म में हँसने के लिए साथ में दुनिया होती थी
जब वो होती थी तो मन होता था रोने का
बस इक दिन अचानक उसने ख़त लिखने छोड़ दिए
अब भी मुझे मालूम नहीं सच इसके पीछे का
उसके दिल की वो जाने और मेरे दिल की मैं
इसके आगे हक़ नहीं मुझको कुछ भी कहने का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ayush Aavart
our suggestion based on Ayush Aavart
As you were reading Udasi Shayari Shayari