khuda ki ab inaayat ho udaasi hai | ख़ुदा की अब इनायत हो उदासी है

  - Azhan 'Aajiz'

khuda ki ab inaayat ho udaasi hai
use mujh se muhabbat ho udaasi hai

bade din ho chuke halchal nahin dil mein
idhar ab to bagaavat ho udaasi hai

rahe gham mein zara khush ham mile sab gham
miyaan kuchh to ri'aayat ho udaasi hai

banen hain dost afsaana yahan par ham
hamaari ab haqeeqat ho udaasi hai

kahi ham khudkushi karne lagen na ab
gamon se ab hifaazat ho udaasi hai

bura dil ko kahi ye lag na jaaye ab
ki ariz yaar khush mat ho udaasi hai

ख़ुदा की अब इनायत हो उदासी है
उसे मुझ से मुहब्बत हो उदासी है

बड़े दिन हो चुके हलचल नहीं दिल में
इधर अब तो बग़ावत हो उदासी है

रहे ग़म में ज़रा ख़ुश हम मिले सब ग़म
मियाँ कुछ तो रि'आयत हो उदासी है

बनें हैं दोस्त अफ़साना यहाँ पर हम
हमारी अब हक़ीक़त हो उदासी है

कहीं हम ख़ुदकुशी करने लगें ना अब
ग़मों से अब हिफ़ाज़त हो उदासी है

बुरा दिल को कहीं ये लग न जाए अब
कि 'आरिज़' यार ख़ुश मत हो उदासी है

  - Azhan 'Aajiz'

Wahshat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Azhan 'Aajiz'

As you were reading Shayari by Azhan 'Aajiz'

Similar Writers

our suggestion based on Azhan 'Aajiz'

Similar Moods

As you were reading Wahshat Shayari Shayari