vo kamtar sabhi apne ghar baithe hain | वो कमतर सभी अपने घर बैठे हैं

  - Azhan 'Aajiz'

vo kamtar sabhi apne ghar baithe hain
yahan par sab ahle-hunar baithe hain

idhar to udhar dekhta hoon main ye
vo mehfil mein aa ke kidhar baithe hain

hamein chhod ke tu gaya tha jidhar
tu aaye ham ab bhi udhar baithe hain

jo barbaad hain ishq mein aur hain
muhabbat mein ham ban-sanwar baithe hain

hamaari yahi dastaan hai ki ham
na karna tha jo kaam kar baithe hain

yahi log jo khaas hain ban ke ye
rukaavat ki raah-e-safar baithe hain

badha jazb dekha ki mehfil mein ye
hain kuchh log jo ham-nazar baithe hain

वो कमतर सभी अपने घर बैठे हैं
यहाँ पर सब अहले-हुनर बैठे हैं

इधर तो उधर देखता हूँ मैं ये
वो महफ़िल में आ के किधर बैठे हैं

हमें छोड़ के तू गया था जिधर
तू आए हम अब भी उधर बैठे हैं

जो बर्बाद हैं इश्क़ में और हैं
मुहब्बत में हम बन-सँवर बैठे हैं

हमारी यही दास्ताँ है कि हम
न करना था जो काम कर बैठे हैं

यही लोग जो ख़ास हैं बन के ये
रुकावट कि राहे-सफ़र बैठे हैं

बढ़ा जज़्ब देखा कि महफ़िल में ये
हैं कुछ लोग जो हम-नज़र बैठे हैं

  - Azhan 'Aajiz'

Broken Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Azhan 'Aajiz'

As you were reading Shayari by Azhan 'Aajiz'

Similar Writers

our suggestion based on Azhan 'Aajiz'

Similar Moods

As you were reading Broken Shayari Shayari