dariya hai bahut gahra kashti bhi puraani hai | दरिया है बहुत गहरा, कश्ती भी पुरानी है - Basudeo Agarwal

dariya hai bahut gahra kashti bhi puraani hai
himmat ki magar dil mein kam bhi na rawaani hai

zabba ho jo badhne ka kuch bhi na lage mushkil
kuch karne ki jeevan mein ye hi to nishaani hai

dil unse mila jab se badli hai fazaa tab se
madhosh nazare hain har shay hi suhaani hai

bachpan ke suhaane din rah rah ke ve yaad aayein
aankhon mein hain manzar sab har baat zubaani hai

auqaat nahin kuch bhi par aankh dikhaaye vo
takraayega hum se to munh ki use khaani hai

sirmour bane jag ka bharat ye watan pyaara
ye aas humein poori ab kar ke dikhaani hai

jis or naman dekhe muflis hi bharen aahen
ab sab ko garibi ye jad se hi mitaani hai

दरिया है बहुत गहरा, कश्ती भी पुरानी है
हिम्मत की मगर दिल में, कम भी न रवानी है

ज़ज़्बा हो जो बढ़ने का, कुछ भी न लगे मुश्किल
कुछ करने की जीवन में, ये ही तो निशानी है

दिल उनसे मिला जब से, बदली है फ़ज़ा तब से
मदहोश नज़ारे हैं, हर शय ही सुहानी है

बचपन के सुहाने दिन, रह रह के वे याद आएँ
आँखों में हैं मंज़र सब, हर बात ज़ुबानी है

औक़ात नहीं कुछ भी, पर आँख दिखाए वो
टकरायेगा हम से तो, मुँह की उसे खानी है

सिरमौर बने जग का, भारत ये वतन प्यारा
ये आस हमें पूरी, अब कर के दिखानी है

जिस ओर 'नमन' देखे, मुफ़लिस ही भरें आहें
अब सब को गरीबी ये, जड़ से ही मिटानी है

- Basudeo Agarwal
1 Like

Samundar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Basudeo Agarwal

As you were reading Shayari by Basudeo Agarwal

Similar Writers

our suggestion based on Basudeo Agarwal

Similar Moods

As you were reading Samundar Shayari Shayari