zameen par rahne waale aasmaan ki baat karte hain | ज़मीं पर रहने वाले आसमाँ की बात करते हैं

  - Dard Faiz Khan

zameen par rahne waale aasmaan ki baat karte hain
hain zarre khaak ke par kahkashaan ki baat karte hain

hon talwaaron tale gardan ki nezon par hon unke sar
jo ahl-e-'ishq hain amn-o-amaan ki baat karte hain

jahaan eimaan ki khushboo uda karti hai har lamha
farishte unke sang-e-aastaan ki baat karte hain

hamein kyun ab tamannaa ho ki jannat paayenge ik din
jahaan par zikr-e-jannat ho to maa ki baat karte hain

ye kis ki baat par itna yaqeen karne lage hain jo
ye khaaki jism bhi ab do-jahaan ki baat karte hain

yaqeen ho to khuda-e-paak ki rahmat pe aisa ho
jhulsati dhoop mein ham saibaan ki baat karte hain

jahaan ko kalma-e-tawheed se mahka diya jisne
usi ik meherbaan ki baagbaan ki baat karte hain

haqeeqat se t'alluq hai hamaara ham haqeeqat hain
khyaalon ke pujaari bas gumaan ki baat karte hain


ye dil waalon ki basti hai yahan hain dard ke qisse

so ahl-e-dil faqat soz-e-nihaan ki baat karte hain


khuda ka shukr hai ham par musalsal faiz jaari hai
ye aankhen nam hi rahti hain fugaan ki baat karte hain

ज़मीं पर रहने वाले आसमाँ की बात करते हैं
हैं ज़र्रे ख़ाक के पर कहकशाँ की बात करते हैं

हों तलवारों तले गर्दन कि नेज़ों पर हों उनके सर
जो अहल-ए-'इश्क़ हैं अम्न-ओ-अमाँ की बात करते हैं

जहाँ ईमान की ख़ुशबू उड़ा करती है हर लम्हा
फ़रिश्ते उनके संग-ए-आस्ताँ की बात करते हैं

हमें क्यों अब तमन्ना हो कि जन्नत पाएँगे इक दिन
जहाँ पर ज़िक्र-ए-जन्नत हो, तो माँ की बात करते हैं

ये किस की बात पर इतना यक़ीं करने लगे हैं जो
ये ख़ाकी जिस्म भी अब दो-जहाँ की बात करते हैं

यक़ीं हो तो ख़ुदा-ए-पाक की रहमत पे ऐसा हो
झुलसती धूप में हम साइबाँ की बात करते हैं

जहाँ को कलमा-ए-तौहीद से महका दिया जिसने
उसी इक मेहरबाँ की, बाग़बाँ की बात करते हैं

हक़ीक़त से त'अल्लुक़ है हमारा हम हक़ीक़त हैं
ख़्यालों के पुजारी बस गुमाँ की बात करते हैं


ये दिल वालों की बस्ती है यहाँ हैं दर्द के क़िस्से

सो अहल-ए-दिल फ़क़त सोज़-ए-निहाँ की बात करते हैं


ख़ुदा का शुक्र है हम पर मुसलसल 'फ़ैज़' जारी है
ये आँखें नम ही रहती हैं फ़ुग़ाँ की बात करते हैं

  - Dard Faiz Khan

Ujaala Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dard Faiz Khan

As you were reading Shayari by Dard Faiz Khan

Similar Writers

our suggestion based on Dard Faiz Khan

Similar Moods

As you were reading Ujaala Shayari Shayari