khud mein karte ata hai khudi ko
talkh karte ata hai jabi ko
yun bhi koi bhala jeeta hain kya
jahar karta hain khud zindagi ko
dost chillaa uthegi musalsal
aap chhedhe nahi khaamoshi ko
gul mahakta hain hansne pe uske
lag na jaaye nazar us hasi ko
shakl pe noor behad hain teri
noor se raakh kar raushni ko
ranjishen dooriyaan sab tiri hain
khatm kar seene lag ke sabhi ko
ख़ुद में करते अता है ख़ुदी को
तल्ख़ करते अता है जबी को
यूँ भी कोई भला जीता हैं क्या
जहर करता हैं ख़ुद ज़िन्दगी को
दोस्त, चिल्ला उठेगी मुसलसल
आप छेड़े नही ख़ामुशी को
गुल महकता हैं हँसने पे उसके
लग न जाए नज़र उस हँसी को
शक्ल पे नूर बेहद हैं तेरी
नूर से राख कर रौशनी को
रंजिशें दूरियाँ सब तिरी हैं
ख़त्म कर सीने लग के सभी को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Deep kamal panecha
our suggestion based on Deep kamal panecha
As you were reading Khamoshi Shayari Shayari