rok kar rakhta hoon par fisal jaati hai
cheekh har baat par ab nikal jaati hai
muflisi noch khaati hai chaati ka maas
aur phir haddiyaan tak nigal jaati hai
uthati hai aag tere badan ko magar
aag ye dheeme-dheeme pighal jaati hai
aarzoo roz koi dabaata hoon main
aarzoo roz koi machal jaati hai
dukh pidar ka samjhti hai ye ladki so
ek hi toffee mein bas bahl jaati hai
sar pe saaya na maa-baap ka ho agar
zindagi haadse mein badal jaati hai
रोक कर रखता हूँ पर फिसल जाती है
चीख़ हर बात पर अब निकल जाती है
मुफ़्लिसी नोच खाती है छाती का माँस
और फिर हड्डियाँ तक निगल जाती है
उठती है आग तेरे बदन को मगर
आग ये धीमे-धीमे पिघल जाती है
आरज़ू रोज़ कोई दबाता हूँ मैं
आरज़ू रोज़ कोई मचल जाती है
दुख पिदर का समझती है ये लड़की सो
एक ही टॉफ़ी में बस बहल जाती है
सर पे साया न माँ-बाप का हो अगर
ज़िन्दगी हादसे में बदल जाती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mohit Subran
our suggestion based on Mohit Subran
As you were reading Charagh Shayari Shayari