main khush hoon meri rahbari ho rahi hai | मैं ख़ुश हूँ मेरी रहबरी हो रही है

  - Vikas Shah musafir

main khush hoon meri rahbari ho rahi hai
meri har ghazal nagmgi ho rahi hai

bhale ishq mujhko nahin ho raha ab
yahan ishq mein khudkushi ho rahi hai

jo kuchh socha vo sab mila hai tumhein phir
tumhein aur ab kya kami ho rahi hai

kisi se bichhad kar pareshaan tha main
kisi se bichhad kar khushi ho rahi hai

gamon se main gham mujhse lipate hain sahab
tabhi mujhse ye shaayri ho rahi hai

are theek se pesh aao miyaan ab
ye kis baat pe dushmani ho rahi hai

ye kaisi jasaarat muhabbat ki hai jo
qadam-ba-qadam khastagi ho rahi hai

मैं ख़ुश हूँ मेरी रहबरी हो रही है
मेरी हर ग़ज़ल नग़्मगी हो रही है

भले इश्क़ मुझको नहीं हो रहा अब
यहाँ इश्क़ में ख़ुदकुशी हो रही है

जो कुछ सोचा वो सब मिला है तुम्हें फिर
तुम्हें और अब क्या कमी हो रही है

किसी से बिछड़ कर परेशान था मैं
किसी से बिछड़ कर ख़ुशी हो रही है

ग़मों से मैं, ग़म मुझसे लिपटे हैं साहब
तभी मुझसे ये शाइरी हो रही है

अरे ठीक से पेश आओ मियाँ अब
ये किस बात पे दुश्मनी हो रही है

ये कैसी जसारत मुहब्बत की है जो
क़दम-बा-क़दम ख़स्तगी हो रही है

  - Vikas Shah musafir

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vikas Shah musafir

As you were reading Shayari by Vikas Shah musafir

Similar Writers

our suggestion based on Vikas Shah musafir

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari