visaal-o-hijr to jeevan mein aisa tha ki lagta hai
tumhein mere muqaddar mein likha likh ke mitaaya hai
samajhta hai yahi vo bhi yahi main bhi samajhta hoon
main usko yaad karta hoon vo mujh ko yaad karta hai
tere hote bhi sabko meri jaanib kheench loonga main
tiri aankhon se mere zakhamon mein gehraai ziyaada hai
kabhi me'aar tak tum to hamaare aa nahin sakte
yahin kehna tumhaara tha yahi kehna hamaara hai
bichhad ke mujhse vo bhi shayari karne laga hai ab
main uspe sher kehta hoon vo mujhpe sher kehta hai
विसाल-ओ-हिज्र तो जीवन में ऐसा था कि लगता है
तुम्हें मेरे मुक़द्दर में लिखा लिख के मिटाया है
समझता है यही वो भी यही मैं भी समझता हूँ
मैं उसको याद करता हूँ वो मुझ को याद करता है
तेरे होते भी सबको मेरी जानिब खींच लूँगा मैं
तिरी आँखों से मेरे ज़ख़्मों में गहराई ज़्यादा है
कभी मे'आर तक तुम तो हमारे आ नहीं सकते
यहीं कहना तुम्हारा था यही कहना हमारा है
बिछड़ के मुझसे वो भी शायरी करने लगा है अब
मैं उसपे शेर कहता हूँ वो मुझपे शेर कहता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Naaz ishq
our suggestion based on Naaz ishq
As you were reading Qismat Shayari Shayari