unhin phir raaston se main guzarne to nahin waala
ki main khud se tere kaaran bikharna to nahin waala
teri dhamki se achhe se main waqif hoon samajh yaara
so ab dhamki se main teri yoon darne to nahin waala
teri aadat rahi hai saath mera chhod dene ki
magar ab main mohabbat se mukarne to nahin waala
shajar par chadh gaya hoon main parindon ke liye aakhir
to jaldi se main is par se utarne to nahin waala
teri marzi jo mujhko chhod kar jaane laga hai tu
jee is kaaran se aankhon ko main bharne to nahin waala
उन्हीं फिर रास्तों से मैं गुज़रने तो नहीं वाला
कि मैं ख़ुद से तेरे कारन बिखरने तो नहीं वाला
तेरी धमकी से अच्छे से मैं वाक़िफ़ हूँ समझ यारा
सो अब धमकी से मैं तेरी यूॅं डरने तो नहीं वाला
तेरी आदत रही है साथ मेरा छोड़ देने की
मगर अब मैं मोहब्बत से मुकरने तो नहीं वाला
शजर पर चढ़ गया हूँ मैं परिंदों के लिए आख़िर
तो जल्दी से मैं इस पर से उतरने तो नहीं वाला
तेरी मर्ज़ी जो मुझको छोड़ कर जाने लगा है तू
जी इस कारन से आँखों को मैं भरने तो नहीं वाला
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amanpreet singh
our suggestion based on Amanpreet singh
As you were reading Shajar Shayari Shayari