mere zakhamon ki sargam ko hawaon ne sameta hai | मेरे ज़ख़्मों की सरगम को हवाओं ने समेटा है

  - Sakshi Saraswat

mere zakhamon ki sargam ko hawaon ne sameta hai
koi choo kar guzarta hai use barkha samajhta hai

main tumko kah to deti gham mera meri ye bechaini
magar tum mein yahan sab mein mujhe ab fark lagta hai

jo tanhaa hai vo tanhaai ke qisson ko nahin gaata
jo mahshar mein daba jazbon ko baitha hai vo tanhaa hai

saakshi saraswat

मेरे ज़ख़्मों की सरगम को हवाओं ने समेटा है
कोई छू कर गुज़रता है उसे बरखा समझता है

मैं तुमको कह तो देती ग़म मेरा, मेरी ये बेचैनी
मगर तुम में, यहाँ सब में मुझे अब फ़र्क लगता है

जो तन्हा है वो तन्हाई के क़िस्सों को नहीं गाता
जो महशर में दबा जज़्बों को बैठा है वो तन्हा है

~साक्षी सारस्वत

  - Sakshi Saraswat

Alone Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sakshi Saraswat

As you were reading Shayari by Sakshi Saraswat

Similar Writers

our suggestion based on Sakshi Saraswat

Similar Moods

As you were reading Alone Shayari Shayari