tha junoon dil mein asar jaane tak
dil kii dil mein rahi naqs aane tak
unka aana hai faqat khel koii
bas ruke hain vo to uljhaane tak
jo ana yun hi kushaada sii thi
simti hai logon ko ukasaane tak
mere afsaane mein the kuchh chhupe raaz
pahunchen hain jo kisi begaane tak
umr bhar kii na bujhi pyaas teri
chal chalen ham kisi maykhaane tak
था जुनूँ दिल में असर जाने तक
दिल की दिल में रही नक़्स आने तक
उनका आना है फ़क़त खेल कोई
बस रुके हैं वो तो उलझाने तक
जो अना यूँ ही कुशादा सी थी
सिमटी है लोगों को उकसाने तक
मेरे अफ़्साने में थे कुछ छुपे राज़
पहुँचे हैं जो किसी बेगाने तक
उम्र भर की न बुझी प्यास तेरी
चल चलें हम किसी मयख़ाने तक
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sanjay Bhat
our suggestion based on Sanjay Bhat
As you were reading Naqab Shayari Shayari