ajnabi raah par khada hoon main
iska matlab bhatk gaya hoon main
red-bull si hi furtee milti hai
uske jab hoth choomta hoon main
hijr ke baad rote-rote ab
be-sabab hansne bhi laga hoon main
khwahishon vasl ki hain mujhko aur
hijr par she'r kah raha hoon main
ek-do-do ka ilm hai mujhko
hai failun ye jaanta hoon main
अजनबी राह पर खड़ा हूँ मैं
इसका मतलब भटक गया हूँ मैं
रेड-बुल सी ही फुर्ती मिलती है
उसके जब होठ चूमता हूँ मैं
हिज्र के बाद रोते-रोते अब
बे-सबब हँसने भी लगा हूँ मैं
ख़्वाहिशों वस्ल की हैँ मुझको और
हिज्र पर शे'र कह रहा हूँ मैं
एक-दो-दो का इल्म है मुझको
है फ़ईलुन ये जानता हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dipanshu Shams
our suggestion based on Dipanshu Shams
As you were reading Kitaaben Shayari Shayari