chaand-taare fiza-dhank dekhoon | चाँद-तारे, फ़िज़ा-धनक देखूँ - Dipanshu Shams

chaand-taare fiza-dhank dekhoon
sab mein mehboob ki jhalak dekhoon

shokh nazren haseen badan hai magar
sirf tasveer kab talak dekhoon

do mujhe titliyan si lagti hain
jab jhapakti tiri palak dekhoon

bazm mein laakh hon sitaare par
main faqat apne ki chamak dekhoon

yaad-e-koocha-e-yaar aati hai
jab kabhi film main dhadak dekhoon

चाँद-तारे, फ़िज़ा-धनक देखूँ
सब में महबूब की झलक देखूँ

शोख़ नज़रें हसीं बदन है मगर
सिर्फ़ तस्वीर कब तलक देखूँ

दो मुझे तितलियाँ सी लगती हैं
जब झपकती तिरी पलक देखूँ

बज़्म में लाख़ हों सितारे पर
मैं फ़क़त अपने की चमक देखूँ

याद-ए-कूचा-ए-यार आती है
जब कभी फिल्म मैं 'धड़क' देखूँ

- Dipanshu Shams
0 Likes

Tasweer Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dipanshu Shams

As you were reading Shayari by Dipanshu Shams

Similar Writers

our suggestion based on Dipanshu Shams

Similar Moods

As you were reading Tasweer Shayari Shayari