hua hai kaam mera raat bhar jagaane se
sukoon milta hai khud ko mujhe rulaane se
use kaho ki mere saamne aa jaaye zara
na us se deed hui hai kai zamaane se
mohabbaton mein tadpata hai dil sabhi ka yahan
magar koi nahin darta hai dil lagaane se
hai bewafaai sanam ke yun zehan mein murshad
pata chala hai mujhe usko aazmaane se
na poocho koi ki kaise ye kahte ho daanish
ghazal zabaan se nikalti hai dil dukhaane se
हुआ है काम मेरा रात भर जगाने से
सुकून मिलता है ख़ुद को मुझे रुलाने से
उसे कहो कि मेरे सामने आ जाए ज़रा
न उस से दीद हुई है कई ज़माने से
मुहब्बतों में तड़पता है दिल सभी का यहाँ
मगर कोई नहीं डरता है दिल लगाने से
है बेवफ़ाई सनम के यूँ ज़ेहन में मुर्शद
पता चला है मुझे उसको आज़माने से
न पूछो कोई कि कैसे ये कहते हो 'दानिश'
ग़ज़ल ज़बाँ से निकलती है दिल दुखाने से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Raat Shayari Shayari