agar ab vo mile mujhko kahin usko bataana hai
bhula di maine ye chaahat qareeb ab phir na aana hai
bina uske bitaani hai yun hi ye zindagi baaki
mujhe maaloom hai ye bhool jaana bas bahaana hai
kabhi vo jab milegi zindagi ke mod par mujhko
sadak ke mod tak mujhko in aankhon ko jhukaana hai
magar jo khwaab dekhe hain vo sab to maine dekhe hain
tumhein ik kaam karna hai mujhe ab bhool jaana hai
nahin yun bhi nahin kattee hain raatein khwaab mein rahkar
tumhein maine bhi chaaha aur mujhko ye jataana hai
अगर अब वो मिले मुझको कहीं उसको बताना है
भुला दी मैंने ये चाहत क़रीब अब फिर न आना है
बिना उसके बितानी है यूँ ही ये ज़िंदगी बाक़ी
मुझे मालूम है ये भूल जाना बस बहाना है
कभी वो जब मिलेगी ज़िंदगी के मोड़ पर मुझको
सड़क के मोड़ तक मुझको इन आँखों को झुकाना है
मगर जो ख़्वाब देखे हैं वो सब तो मैंने देखे हैं
तुम्हें इक काम करना है मुझे अब भूल जाना है
नहीं यूँ भी नहीं कटती हैं रातें ख़्वाब में रहकर
तुम्हें मैंने भी चाहा और मुझको ये जताना है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Umashankar Lekhwar
our suggestion based on Umashankar Lekhwar
As you were reading Aarzoo Shayari Shayari