mujhe kisne bulaaya hai meri chaukhat pe aakar ke | मुझे किसने बुलाया है मेरी चौखट पे आकर के

  - Umashankar Lekhwar

mujhe kisne bulaaya hai meri chaukhat pe aakar ke
mujhe tanhaa kiya tune teri aahat dabaakar ke

zara bechain hokar ke tujhe khat jab likhoonga main
mujhe hairaan kar dena mere khat ko jalaakar ke

mahak unse teri saari abhi tak kya gai hogi
kiya jinko juda tune gale apne lagaakar ke

mile mujhko agar tu to bhula doonga sabhi kuchh main
fana kar le mujhe khud mein kahi apna banaakar ke

sajaaya to use hoga magar ab ye tamannaa hai
nihaaru main use phir aaj rangon se sajaakar ke

मुझे किसने बुलाया है मेरी चौखट पे आकर के
मुझे तन्हा किया तूने तेरी आहट दबाकर के

ज़रा बेचैन होकर के तुझे ख़त जब लिखूँगा मैं
मुझे हैरान कर देना मेरे ख़त को जलाकर के

महक उनसे तेरी सारी अभी तक क्या गई होगी
किया जिनको जुदा तूने गले अपने लगाकर के

मिले मुझको अगर तू तो भुला दूँगा सभी कुछ मैं
फ़ना कर ले मुझे ख़ुद में कहीं अपना बनाकर के

सजाया तो उसे होगा मगर अब ये तमन्ना है
निहारूँ मैं उसे फिर आज रंगों से सजाकर के

  - Umashankar Lekhwar

Khat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Umashankar Lekhwar

As you were reading Shayari by Umashankar Lekhwar

Similar Writers

our suggestion based on Umashankar Lekhwar

Similar Moods

As you were reading Khat Shayari Shayari