pakad ke haath koi ab agar mumkin ye ho paaye
hamein yaadon bhari tanhaaiyon se door le jaaye
bahut chaaha kahi hamko sukoon phir mil nahin paaya
unhen khud pe gumaan hai aur ham hain chain kho aaye
hamein ab yaad aati hai kisi ki phool si aankhen
jahaan sab chain khokar ke kisi ke khwaab the laaye
hamein tumne kabhi mauqa diya hota agar jaanaan
tumhein ham raatbhar takte magar vo pal nahin aaye
kabhi har khwaab mein thi tum yaqeenan jhooth lagta hai
hamein bhi thi mohabbat par kabhi ham kah nahin paaye
kabhi yun hi akela mein mujhe tum yaad aate ho
sukoon mai chahta hoon kaun hai tumsa jo mil jaaye
hamesha hi tumhein jab bhi kabhi main bhool paata hoon
dikha ke khwaab phir mujhko mera dil roz behkaaye
पकड़ के हाथ कोई अब अगर मुमकिन ये हो पाए
हमें यादों भरी तन्हाइयों से दूर ले जाए
बहुत चाहा कहीं हमको सुकूँ फिर मिल नहीं पाया
उन्हें ख़ुद पे गुमाँ है और हम हैं चैन खो आए
हमें अब याद आती है किसी की फूल सी आँखें
जहाँ सब चैन खोकर के किसी के ख़्वाब थे लाए
हमें तुमने कभी मौक़ा दिया होता अगर जानाँ
तुम्हें हम रातभर तकते मगर वो पल नहीं आए
कभी हर ख़्वाब में थी तुम यक़ीनन झूठ लगता है
हमें भी थी मोहब्बत पर कभी हम कह नहीं पाए
कभी यूँ ही अकेले में मुझे तुम याद आते हो
सुकूँ मै चाहता हूँ कौन है तुमसा जो मिल जाए
हमेशा ही तुम्हें जब भी कभी मैं भूल पाता हूँ
दिखा के ख़्वाब फिर मुझको मेरा दिल रोज़ बहकाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Umashankar Lekhwar
our suggestion based on Umashankar Lekhwar
As you were reading Sukoon Shayari Shayari