tarz hota to meri sougaat phir kuchh aur hoti | तर्ज़ होता, तो मेरी सौगात फिर कुछ और होती

  - Umashankar Lekhwar

tarz hota to meri sougaat phir kuchh aur hoti
ho na chaahat dekh ke harkaat phir kuchh aur hoti

aasmaan mein chaand to hai roshni mein yun chamakta
vo mere jo paas hoti raat phir kuchh aur hoti

main rahoon be sabr koi saath paane ko kisi ka
vo mere jo saath hoti baat phir kuchh aur hoti

ho na gham hamse juda jo ho na koi zindagi bhar
to na baarish ho kabhi barsaat phir kuchh aur hoti

तर्ज़ होता, तो मेरी सौगात फिर कुछ और होती
हो न चाहत, देख के हरकात फिर कुछ और होती

आसमाँ में चाँद तो है, रोशनी में यूँ चमकता
वो मेरे जो पास होती, रात फिर कुछ और होती

मैं रहूँ बे- सब्र, कोई साथ पाने को किसी का
वो मेरे जो साथ होती, बात फिर कुछ और होती

हो न ग़म, हमसे जुदा जो हो न कोई ज़िंदगी भर
तो न बारिश हो कभी, बरसात फिर कुछ और होती

  - Umashankar Lekhwar

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Umashankar Lekhwar

As you were reading Shayari by Umashankar Lekhwar

Similar Writers

our suggestion based on Umashankar Lekhwar

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari