ghazal hai qaafiyon se qaafiye hain jaan ghazalon kii | ग़ज़ल है क़ाफ़ियों से क़ाफ़िए हैं जान ग़ज़लों की

  - YAWAR ALI

ghazal hai qaafiyon se qaafiye hain jaan ghazalon kii
bina in ke gali ho jaayegi veeraan ghazalon kii

kahin matla kahin maqta kahin aata takhallus hai
badhaate hain ye sab bazm-e-adab mein shaan ghazalon kii

kai sinfen hain jaise geet dohe sorathaa nazmein
alag hi hai magar saahitya mein pehchaan ghazalon kii

radeefo ko manao gar qawaafi rooth jaate hain
badi mushkil se banti hai sureeli taan ghazalon kii

khushi ka,दर्द ka ya ho koii mauzooa duniya ka
sahaara hai bani sabke liye dookaan ghazalon kii

bahut se inqilaabon mein inhon ne jaan fooki hai
tumhe kya kya bataayein khoobiyaan be-jaan ghazalon kii

badi mushkil se hoti hai mukammal ik ghazal yaavar
miyaan hai raah itni bhi nahin aasaan ghazalon kii

ग़ज़ल है क़ाफ़ियों से क़ाफ़िए हैं जान ग़ज़लों की
बिना इन के गली हो जाएगी वीरान ग़ज़लों की

कहीं मतला', कहीं मक़्ता', कहीं आता तख़ल्लुस है
बढ़ाते हैं ये सब बज़्म-ए-अदब में शान ग़ज़लों की

कई सिन्फ़ें हैं जैसे गीत, दोहे, सोरठा, नज़्में
अलग ही है मगर साहित्य में पहचान ग़ज़लों की

रदीफ़ों को मनाओ गर क़वाफ़ी रूठ जाते हैं
बड़ी मुश्किल से बनती है सुरीली तान ग़ज़लों की

ख़ुशी का,दर्द का या हो कोई मौज़ूअ दुनिया का
सहारा है बनी सबके लिए दूकान ग़ज़लों की

बहुत से इंक़िलाबों में इन्हों ने जान फूँकी है
तुम्हे क्या क्या बताएँ ख़ूबियाँ बे-जान ग़ज़लों की

बड़ी मुश्किल से होती है मुकम्मल इक ग़ज़ल "यावर"
मियाँ, है राह इतनी भी नहीं आसान ग़ज़लों की

  - YAWAR ALI

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by YAWAR ALI

As you were reading Shayari by YAWAR ALI

Similar Writers

our suggestion based on YAWAR ALI

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari