azaad ho ke bhi jo biyaabaan me rahe | आज़ाद हो के भी जो बियाबान मे रहे

  - Mohammad Aquib Khan

azaad ho ke bhi jo biyaabaan me rahe
phir to yahi sahi hai ke zindaan me rahe

ham manch se tumhaari udaayenge dhajjiyaan
ham sher vo nahin hai jo deewaan me rahe

ik zalzale ke khau se dekho to raat bhar
unche gharo ke log bhi maidaan me rahe

tum door ho ke bhi mere armaan me rahi
ham paas ho ke bhi saf ae anjaan me rahe

maa ki tarah watan bhi hamein yaad aata hai
chahe dubai me ya koi iran me rahe

main isliye bhi laut gaya tujhse haar kar
koi to chahiye tha jo nuksaan me rahe

yun kos kar us rooh ne chhoda hamaara jism
laanat hai itne saal jo bejaan mein rahe

आज़ाद हो के भी जो बियाबान मे रहे
फिर तो यही सही है के ज़िन्दान मे रहे

हम मंच से तुम्हारी उड़ाएंगे धज्जियाँ
हम शेर वो नहीं है जो दीवान मे रहे

इक ज़लजले के खौफ़ से देखो तो रात भर
ऊँचे घरो के लोग भी मैदान मे रहे

तुम दूर हो के भी मेरे अरमान मे रही
हम पास हो के भी सफ़ ए अनजान मे रहे

माँ की तरह वतन भी हमें याद आता है
चाहे दुबई मे या कोई ईरान मे रहे

मैं इसलिए भी लौट गया तुझसे हार कर
कोई तो चाहिए था जो नुकसान मे रहे

यूँ कोस कर उस रूह ने छोड़ा हमारा जिस्म
लानत है इतने साल जो बेजान में रहे

  - Mohammad Aquib Khan

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mohammad Aquib Khan

As you were reading Shayari by Mohammad Aquib Khan

Similar Writers

our suggestion based on Mohammad Aquib Khan

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari