khaar se gul gulon se haar banaane waale
ab kahaan hain adoo ko yaar banaane waale
jaaikedaar giza hamko khilaate hai magar
bhookhe rah jaate hai iftaar banaane waale
muddaton baad nazar aayi thi ummeed ae sulh
aur phir aa gaye deewaar banaane waale
maine ik phool badhaaya tha fakat unki taraf
ro pade the sabhi talwaar banaane waale
yun to maiyyat me meri khoob hi roye the vo
par wahi the mujhe beemaar banaane waale
zulm karte hain vo julmi hai khabar hai lekin
vo humi the unhen sardaar banaane waale
dekh kar बुज़दिली,मक्कारी yahan logon ki
mar gaye jang ko yalgaar banaane waale
zalzale mein to dukandaar hi hote hai tabaah
baad me aate hain bazaar banaane waale
takht har daur me hakdaar badal leta hai
bhool baithe hain ye sarkaar banaane waale
खार से गुल, गुलों से हार बनाने वाले
अब कहाँ हैं अदू को यार बनाने वाले
जाइकेदार गिज़ा हमको खिलाते है मगर
भूखे रह जाते है इफ्तार बनाने वाले
मुद्दतों बाद नज़र आई थी उम्मीद ए सुलह
और फिर आ गए दीवार बनाने वाले
मैंने इक फूल बढ़ाया था फकत उनकी तरफ
रो पड़े थे सभी तलवार बनाने वाले
यूँ तो मैय्यत मे मेरी खूब ही रोये थे वो
पर वही थे मुझे बीमाऱ बनाने वाले
ज़ुल्म करते हैं वो जुल्मी है खबर है लेकिन
वो हमी थे उन्हें सरदार बनाने वाले
देख कर बुज़दिली,मक्कारी यहाँ लोगों की
मर गए जंग को यलगार बनाने वाले
ज़लजले में तो दुकाँदार ही होते है तबाह
बाद मे आते हैं बाजार बनाने वाले
तख्त हर दौर मे हकदार बदल लेता है
भूल बैठे हैं ये सरकार बनाने वाले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mohammad Aquib Khan
our suggestion based on Mohammad Aquib Khan
As you were reading Phool Shayari Shayari