dua nahin to sahi baddua nahin dete | दुआ नहीं तो सही बद्दुआ नहीं देते

  - Mohammad Aquib Khan

dua nahin to sahi baddua nahin dete
kisi bhi aag ki jaanib hawa nahin dete

hamaari umr se zyaada hai tajriba unko
badon ke aage kabhi mashwara nahin dete

ham unko roz pareshaan karenge khaabo me
vo zab talak hamein dil se bhula nahin dete

labon pe halki hasi aankhon me saja kaajal
janaaze ko kabhi aise vida nahin dete

babool pedo sa hone mein faayda kya hai
bade hai khoob magar aasraa nahin dete

adaalaton ka azl se yahi nizaam raha
kabhi gareeb ke haq faisla nahin dete

siyaasi logo ko dekh itna hamne seekh liya
ke bandaron ko kabhi ustra nahin dete

दुआ नहीं तो सही बद्दुआ नहीं देते
किसी भी आग की जानिब हवा नहीं देते

हमारी उम्र से ज़्यादा है तजरिबा उनको
बडों के आगे कभी मशवरा नहीं देते

हम उनको रोज़ परेशां करेंगे ख़्वाबों मे
वो ज़ब तलक हमें दिल से भुला नहीं देते

लबों पे हल्की हंसी आँखों मे सजा काजल
जनाज़े को कभी ऐसे विदा नहीं देते

बबूल पेड़ो सा होने में फायदा क्या है
बड़े है खूब मगर आसरा नहीं देते

अदालतों का अज़ल से यही निज़ाम रहा
कभी ग़रीब के हक़ फैसला नहीं देते

सियासी लोगो को देख इतना हमने सीख़ लिया
के बंदरों को कभी उस्तरा नहीं देते

  - Mohammad Aquib Khan

Birthday Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mohammad Aquib Khan

As you were reading Shayari by Mohammad Aquib Khan

Similar Writers

our suggestion based on Mohammad Aquib Khan

Similar Moods

As you were reading Birthday Shayari Shayari