na jaane kaise hua us haseen ka charcha
hamaare beech to jaari tha deen ka charcha
dikhaai dene lage pair sab sampolo ke
unhonne sun liya hai jab se been ka charcha
ham isliye bhi kahi mehfilon mein jaate nahin
hamaare dil ko dukhaata hai teen ka charcha
banenge soorma ham log aur aalim bhi
agar nashisht mein ho roz deen ka charcha
zaif ae ghar ki tabiyat agar bigad jaaye
shuroo ho jaata hai ghar mein zameen ka charcha
tumhe kuchh isliye bhi roz yaad karte hain
bade sikhaate the kariye zaheen ka charcha
tumhein hi dekh ke karne lage hain ab ham bhi
alif be zer zubar meem sheen ka charcha
ye jurm saanpo ka hai saare jaante the magar
tamaam raat hua aasteen ka charcha
न जाने कैसे हुआ उस हसीन का चर्चा
हमारे बीच तो जारी था दीन का चर्चा
दिखाई देने लगे पैर सब संपोलो के
उन्होंने सुन लिया है जब से बीन का चर्चा
हम इसलिये भी कहीं महफ़िलों में जाते नहीं
हमारे दिल को दुखाता है तीन का चर्चा
बनेंगे सूरमा हम लोग और आलिम भी
अगर नशिश्त में हो रोज़ दीन का चर्चा
ज़ईफ ए घर की तबीयत अगर बिगड़ जाए
शुरू हो जाता है घर में ज़मीन का चर्चा
तुम्हे कुछ इसलिये भी रोज़ याद करते हैं
बड़े सिखाते थे करिये ज़हीन का चर्चा
तुम्हें ही देख के करने लगे हैं अब हम भी
अलिफ़, बे, ज़ेर, ज़बर, मीम, शीन का चर्चा
ये जुर्म साँपो का है सारे जानते थे मगर
तमाम रात हुआ आस्तीन का चर्चा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mohammad Aquib Khan
our suggestion based on Mohammad Aquib Khan
As you were reading Dil Shayari Shayari