akshar hamaare khwaab mein aati hain tofiyaan | अक्सर हमारे ख़्वाब में आती हैं टॉफ़ियाँ - Aadil Aseer Dehlvi

akshar hamaare khwaab mein aati hain tofiyaan
khul jaaye phir jo aankh sataati hain tofiyaan
taqreeb ghar mein ho koi school ka ho jashn
mauqa mile to rang jamaati hain tofiyaan
khaayein maze maze se bade bhaai jaan bhi
baazi bhi khoob shauq se khaati hain tofiyaan
abbaa bhi le ke aate hain cheezen nayi nayi
ammi bhi market se to laati hain tofiyaan
billi ko khwaab kya nazar aata hai kya kahi
hum ko to khwaab mein nazar aati hain tofiyaan
madam hamaari achhi hain school ki sabhi
achhi hain sab se vo jo khilaati hain tofiyaan
dekhen jo tofiyaan to vo hanste zaroor hain
bacchon ko rote rote hansaati hain tofiyaan
aadil hain hum bhi zaa'iqe se un ke ba-khabar
paani hamaare munh mein bhi laati hain tofiyaan

अक्सर हमारे ख़्वाब में आती हैं टॉफ़ियाँ
खुल जाए फिर जो आँख सताती हैं टॉफ़ियाँ
तक़रीब घर में हो कोई स्कूल का हो जश्न
मौक़ा मिले तो रंग जमाती हैं टॉफ़ियाँ
खाएँ मज़े मज़े से बड़े भाई जान भी
बाजी भी ख़ूब शौक़ से खाती हैं टॉफ़ियाँ
अब्बा भी ले के आते हैं चीज़ें नई नई
अम्मी भी मार्किट से तो लाती हैं टॉफ़ियाँ
बिल्ली को ख़्वाब क्या नज़र आता है क्या कहीं
हम को तो ख़्वाब में नज़र आती हैं टॉफ़ियाँ
मैडम हमारी अच्छी हैं स्कूल की सभी
अच्छी हैं सब से वो जो खिलाती हैं टॉफ़ियाँ
देखें जो टॉफ़ियाँ तो वो हँसते ज़रूर हैं
बच्चों को रोते रोते हँसाती हैं टॉफ़ियाँ
'आदिल' हैं हम भी ज़ाइक़े से उन के बा-ख़बर
पानी हमारे मुँह में भी लाती हैं टॉफ़ियाँ

- Aadil Aseer Dehlvi
1 Like

Diversity Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Aadil Aseer Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Diversity Shayari Shayari