na dil laga kisoo se tu na zindagi kharab kar | न दिल लगा किसू से तू न ज़िंदगी ख़राब कर

  - Prashant Kumar

na dil laga kisoo se tu na zindagi kharab kar
hafiz ban ke vaadiyon ke khaar ko gulaab kar

ye ungaliyaan ye putliyaan ye bastiyaan ye hastiyaan
bhali bhali sii lag raheen inhen abhi kharab kar

udhaar udhaar chhod yaar teri hi dukaan hai
kaha na dil bhi le liyo puraana to hisaab kar

agar nahin bujhi kisi bhi may-kade mein pyaas to
utha mera gilaas aansuon ko phir sharaab kar

ghisa-pitaa sawaal hai mohabbaton ka ishq ka
ise kisi se pooch mat ise tu khud jawaab kar

न दिल लगा किसू से तू न ज़िंदगी ख़राब कर
हफ़ीज़ बन के वादियों के ख़ार को गुलाब कर

ये उँगलियाँ ये पुतलियाँ ये बस्तियाँ ये हस्तियाँ
भली भली सी लग रहीं इन्हें अभी ख़राब कर

उधार उधार छोड़ यार तेरी ही दुकान है
कहा न दिल भी ले लियो पुराना तो हिसाब कर

अगर नहीं बुझी किसी भी मय-कदे में प्यास तो
उठा मिरा गिलास आँसुओं को फिर शराब कर

घिसा-पिटा सवाल है मुहब्बतों का इश्क़ का
इसे किसी से पूछ मत इसे तू ख़ुद जवाब कर

  - Prashant Kumar

Friendship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Friendship Shayari Shayari