hua hai taur-e-barbaadi jo be-dastoor pahluu mein
dil-e-betaab ko rehta hai na-manzoor pahluu mein
ajab dil ko lagi hai lau ajab hai noor pahluu mein
kiya hai ishq ne raushan charaagh-e-toor pahluu mein
kaha jo main ne mere dil ki ik tasveer khinchwa do
manga kar rakh diya ik sheesha chaknachoor pahluu mein
khushi ho ho ke ulfat mein jo baar-e-gham uthaata hai
dil-e-shaida hai ya hai ishq ka mazdoor pahluu mein
havas hai dil ko tere haath se majrooh hone ki
laga de ik chhuri ai qaabil-e-maghroor pahluu mein
hum-aagoshi se jab se yaar ne pahlu-tahi ki hai
usi din se hui hai be-kali maamoor pahluu mein
tiri tasveer jab main dhoondhne uthata hoon jannat mein
bitha leti hai minnat kar ke mujh ko hoor pahluu mein
tadap jaata hai dil teri judaai yaad aati hai
chamak jaata hai ya-rab kis pari ka noor pahluu mein
tasadduq tujh pe jis dam najd mein ho jaayega majnoon
jagah dega tira deewana-e-maghfoor pahluu mein
khandang-e-naaz ki aamad par aamad is mein rahti hai
ye baab-e-dil-kusha hai ya ki hai naasoor pahluu mein
ilaahi mere us ke vo hum-aagoshi ki soorat ho
ki jaise dil ki hai pecheedagi mashhoor pahluu mein
hua is darja ghalba us pe thandi thandi saanson ka
ki aakhir dil hamaara ho gaya kafoor pahluu mein
nayi teer-e-lab-e-maashooq ne ki rakhna-pardazi
tasallut to kiya dil mein hua naasoor pahluu mein
barabar apne baithe dekha hai yusuf ko rooya mein
khuda chahe to aa baithe vo rask-e-hoor pahluu mein
muslim us ke hone ki sharf tadbeer batlaao
pada hai muddaton se sheesha-e-dil choor pahluu mein
हुआ है तौर-ए-बर्बादी जो बे-दस्तूर पहलू में
दिल-ए-बेताब को रहता है ना-मंज़ूर पहलू में
अजब दिल को लगी है लौ अजब है नूर पहलू में
किया है इश्क़ ने रौशन चराग़-ए-तूर पहलू में
कहा जो मैं ने मेरे दिल की इक तस्वीर खिंचवा दो
मँगा कर रख दिया इक शीशा चकनाचूर पहलू में
ख़ुशी हो हो के उल्फ़त में जो बार-ए-ग़म उठाता है
दिल-ए-शैदा है या है इश्क़ का मज़दूर पहलू में
हवस है दिल को तेरे हाथ से मजरूह होने की
लगा दे इक छुरी ऐ क़ातिल-ए-मग़रूर पहलू में
हम-आग़ोशी से जब से यार ने पहलू-तही की है
उसी दिन से हुई है बे-कली मामूर पहलू में
तिरी तस्वीर जब मैं ढूँडने उठता हूँ जन्नत में
बिठा लेती है मिन्नत कर के मुझ को हूर पहलू में
तड़प जाता है दिल तेरी जुदाई याद आती है
चमक जाता है या-रब किस परी का नूर पहलू में
तसद्दुक़ तुझ पे जिस दम नज्द में हो जाएगा मजनूँ
जगह देगा तिरा दीवाना-ए-मग़्फ़ूर पहलू में
ख़दंग-ए-नाज़ की आमद पर आमद इस में रहती है
ये बाब-ए-दिल-कुशा है या कि है नासूर पहलू में
इलाही मेरे उस के वो हम-आग़ोशी की सूरत हो
कि जैसे दिल की है पेचीदगी मशहूर पहलू में
हुआ इस दर्जा ग़लबा उस पे ठंडी ठंडी साँसों का
कि आख़िर दिल हमारा हो गया काफ़ूर पहलू में
नई तीर-ए-लब-ए-माशूक़ ने की रख़्ना-पर्दाज़ी
तसल्लुत तो किया दिल में हुआ नासूर पहलू में
बराबर अपने बैठे देखा है यूसुफ़ को रूया में
ख़ुदा चाहे तो आ बैठे वो रश्क-ए-हूर पहलू में
मुस्लिम उस के होने की 'शरफ़' तदबीर बतलाओ
पड़ा है मुद्दतों से शीशा-ए-दिल चूर पहलू में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Agha Hajju Sharaf
our suggestion based on Agha Hajju Sharaf
As you were reading Judai Shayari Shayari