naahak o haq ka unhen khauf-o-khatr kuchh bhi nahin
be-khabar hain vo zamaane ki khabar kuchh bhi nahin
dhoom hi dhoom thi madfan ki magar kuchh bhi nahin
khaak is ghar mein basar hogi ye ghar kuchh bhi nahin
haaye afsos hui kaun si sohbat barkhast
shab ko meraaj mein the waqt-e-sehr kuchh bhi nahin
kah rahi hai ye mare dil se mohabbat us ki
hoon to ikseer magar mujh mein asar kuchh bhi nahin
aa rahi hai ye sada gor ke sannaate se
main vo aalam hoon jahaan shaam-o-sehar kuchh bhi nahin
is nazaakat se to main kahe ko bismil hoonga
tum chhuri pherte ho mujh ko khabar kuchh bhi nahin
haatif-e-ishq to kehta hai idhar sab kuchh hai
aalam-e-yaas ye kehta hai udhar kuchh bhi nahin
aankh phir jaati hai maashooqon ki maayuson se
gham-zada kuchh nahin hasrat ki nazar kuchh bhi nahin
turbat-e-qais se kahti hai lipt kar leila
ham tadpate hain pade tum ko khabar kuchh bhi nahin
manzil-e-gor mein kya jaaniye kya guzregi
taaza waarid hain abhi ham ko khabar kuchh bhi nahin
lan-taraani ki jo taakeed hai ai dil ye khula
baab-e-deedaar mein manzoor-e-nazar kuchh bhi nahin
khwaab dekha tha ki tha vasl ki shab ka samaan
jashn tha raat ko hangaam-e-sehr kuchh bhi nahin
us ko gahri ise ye ochi chhuri waah ai yaar
zakhm-e-dil ghaav hua zakham-e-jigar kuchh bhi nahin
rishta-e-jaan se bhi naazuk hai vo baariki mein
gul ki rag phir hai gudaaz us ki kamar kuchh bhi nahin
qabr mein huroon ke aane ka uthaaye kya lutf
deeda o jism o dil o jaan o jigar kuchh bhi nahin
raas aa jaayegi jis ko vo use chaahenge
phir mohabbat mein sabhi kuchh hai agar kuchh bhi nahin
mutmain hoon rah-e-isan mein tiri rahmat se
vo musaafir hoon ki tashweesh-e-safar kuchh bhi nahin
ai sharf hai gul-e-maqsud ke har-soo bauchaar
waah ai khoobi-e-qismat ki idhar kuchh bhi nahin
नाहक़ ओ हक़ का उन्हें ख़ौफ़-ओ-ख़तर कुछ भी नहीं
बे-ख़बर हैं वो ज़माने की ख़बर कुछ भी नहीं
धूम ही धूम थी मदफ़न की मगर कुछ भी नहीं
ख़ाक इस घर में बसर होगी ये घर कुछ भी नहीं
हाए अफ़सोस हुई कौन सी सोहबत बरख़ास्त
शब को मेराज में थे वक़्त-ए-सहर कुछ भी नहीं
कह रही है ये मरे दिल से मोहब्बत उस की
हूँ तो इक्सीर मगर मुझ में असर कुछ भी नहीं
आ रही है ये सदा गोर के सन्नाटे से
मैं वो आलम हूँ जहाँ शाम-ओ-सहर कुछ भी नहीं
इस नज़ाकत से तो मैं काहे को बिस्मिल हूँगा
तुम छुरी फेरते हो मुझ को ख़बर कुछ भी नहीं
हातिफ़-ए-इश्क़ तो कहता है इधर सब कुछ है
आलम-ए-यास ये कहता है उधर कुछ भी नहीं
आँख फिर जाती है माशूक़ों की मायूसों से
ग़म-ज़दा कुछ नहीं हसरत की नज़र कुछ भी नहीं
तुर्बत-ए-क़ैस से कहती है लिपट कर लैला
हम तड़पते हैं पड़े तुम को ख़बर कुछ भी नहीं
मंज़िल-ए-गोर में क्या जानिए क्या गुज़रेगी
ताज़ा वारिद हैं अभी हम को ख़बर कुछ भी नहीं
लन-तरानी की जो ताकीद है ऐ दिल ये खुला
बाब-ए-दीदार में मंज़ूर-ए-नज़र कुछ भी नहीं
ख़्वाब देखा था कि था वस्ल की शब का सामान
जश्न था रात को हंगाम-ए-सहर कुछ भी नहीं
उस को गहरी इसे ये ओछी छुरी वाह ऐ यार
ज़ख़्म-ए-दिल घाव हुआ ज़ख़्म-ए-जिगर कुछ भी नहीं
रिश्ता-ए-जाँ से भी नाज़ुक है वो बारीकी में
गुल की रग फिर है गुदाज़ उस की कमर कुछ भी नहीं
क़ब्र में हूरों के आने का उठाएँ क्या लुत्फ़
दीदा ओ जिस्म ओ दिल ओ जान ओ जिगर कुछ भी नहीं
रास आ जाएगी जिस को वो उसे चाहेंगे
फिर मोहब्बत में सभी कुछ है अगर कुछ भी नहीं
मुतमइन हूँ रह-ए-इस्याँ में तिरी रहमत से
वो मुसाफ़िर हूँ कि तशवीश-ए-सफ़र कुछ भी नहीं
ऐ 'शरफ़' है गुल-ए-मक़सूद के हर-सू बौछार
वाह ऐ ख़ूबी-ए-क़िस्मत कि इधर कुछ भी नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Agha Hajju Sharaf
our suggestion based on Agha Hajju Sharaf
As you were reading Fantasy Shayari Shayari