josh-e-wahshat mein garebaan pe nazar hai shaayad | जोश-ए-वहशत में गरेबाँ पे नज़र है शायद - Ahmad Armani

josh-e-wahshat mein garebaan pe nazar hai shaayad
yahi deewane ka saamaan-e-safar hai shaayad

main to sirf aap ki badnaami ka karta hoon khayal
aap ko bhi meri ruswaai ka dar hai shaayad

un ke daaman pe jo tapka tha khushi ka aansu
main to samjha tha darkhshanda guhar hai shaayad

raunda jaata hai jo pairo'n se abas maqtal mein
ye kisi aashiq-e-naakaam ka sar hai shaayad

be-piye hosh-faraamosh hain saare may-kash
un ki makhmoor nigaahon ka asar hai shaayad

zulf-o-rukh dekh ke ahmad ye gumaan hota hai
shaam ki god mein betaab sehar hai shaayad

जोश-ए-वहशत में गरेबाँ पे नज़र है शायद
यही दीवाने का सामान-ए-सफ़र है शायद

मैं तो सिर्फ़ आप की बदनामी का करता हूँ ख़याल
आप को भी मिरी रुस्वाई का डर है शायद

उन के दामन पे जो टपका था ख़ुशी का आँसू
मैं तो समझा था दरख़्शंदा गुहर है शायद

रौंदा जाता है जो पैरों से अबस मक़्तल में
ये किसी आशिक़-ए-नाकाम का सर है शायद

बे-पिए होश-फ़रामोश हैं सारे मय-कश
उन की मख़मूर निगाहों का असर है शायद

ज़ुल्फ़-ओ-रुख़ देख के 'अहमद' ये गुमाँ होता है
शाम की गोद में बेताब सहर है शायद

- Ahmad Armani
0 Likes

Aansoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Armani

As you were reading Shayari by Ahmad Armani

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Armani

Similar Moods

As you were reading Aansoo Shayari Shayari