hasti mein us ka jalwa ayaan pa raha hoon aaj | हस्ती में उस का जल्वा अयाँ पा रहा हूँ आज - Ahmad Armani

hasti mein us ka jalwa ayaan pa raha hoon aaj
dil ko tasavvuraat se bahla raha hoon aaj

mil jaaye koi baab khushi ka main is liye
phir se kitaab-e-zeest ko dohraa raha hoon aaj

ab apna zarf-e-may-kashi dikhlane ke liye
saaqi ke haathon khoob piye ja raha hoon aaj

mehfil mein khaas un ki aqeedat ke vaaste
haathon pe apne dil ko liye ja raha hoon aaj

manzil pe main hoon ya ki fareb-e-nazar hai ye
har samt main hi khud ko nazar aa raha hoon aaj

un ke mareez-e-hijr ne ye kah ke jaan di
kal aayenge vo dekhne main ja raha hoon aaj

ahmad zamaana deed ka hai jis ki muntazir
har-soo main us ka jalwa ayaan pa raha hoon aaj

हस्ती में उस का जल्वा अयाँ पा रहा हूँ आज
दिल को तसव्वुरात से बहला रहा हूँ आज

मिल जाए कोई बाब ख़ुशी का मैं इस लिए
फिर से किताब-ए-ज़ीस्त को दोहरा रहा हूँ आज

अब अपना ज़र्फ़-ए-मय-कशी दिखलाने के लिए
साक़ी के हाथों ख़ूब पिए जा रहा हूँ आज

महफ़िल में ख़ास उन की अक़ीदत के वास्ते
हाथों पे अपने दिल को लिए जा रहा हूँ आज

मंज़िल पे मैं हूँ या कि फ़रेब-ए-नज़र है ये
हर सम्त मैं ही ख़ुद को नज़र आ रहा हूँ आज

उन के मरीज़-ए-हिज्र ने ये कह के जान दी
कल आएँगे वो देखने मैं जा रहा हूँ आज

'अहमद' ज़माना दीद का है जिस की मुंतज़िर
हर-सू मैं उस का जल्वा अयाँ पा रहा हूँ आज

- Ahmad Armani
0 Likes

Rishta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Armani

As you were reading Shayari by Ahmad Armani

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Armani

Similar Moods

As you were reading Rishta Shayari Shayari