humein na dekhiye hum gham ke maare jaise hain | हमें न देखिए हम ग़म के मारे जैसे हैं - Ahmad Ata

humein na dekhiye hum gham ke maare jaise hain
ki hum to vaise hain us ke ishaare jaise hain

ye vasl vasl ki mad mein galat shumaar kiya
ki us ke saath bhi yoonhi kinaare jaise hain

tilism-e-chashm salaamat rahe ki jis ke sabab
kahi hain phool kahi hum sitaare jaise hain

vo jaanta hai jabhi door bhaagta hai bahut
vo jaanta hai hum us ko khasaare jaise hain

hum aaj hanste hue kuch alag dikhaai diye
b-waqt-e-giryaa hum aise the saare jaise hain

use kaho ki sitaare shumaar to na kare
kaho qadam dhare chhode utaare jaise hain

ye gham ke phool hain ya sher dekhiye aur bas
humein pata hai ki hum ne nikhaare jaise hain

हमें न देखिए हम ग़म के मारे जैसे हैं
कि हम तो वैसे हैं उस के इशारे जैसे हैं

ये वस्ल, वस्ल की मद में ग़लत शुमार किया
कि उस के साथ भी यूँही किनारे जैसे हैं

तिलिस्म-ए-चश्म सलामत रहे कि जिस के सबब
कहीं हैं फूल कहीं हम सितारे जैसे हैं

वो जानता है जभी दूर भागता है बहुत
वो जानता है हम उस को ख़सारे जैसे हैं

हम आज हँसते हुए कुछ अलग दिखाई दिए
ब-वक़्त-ए-गिर्या हम ऐसे थे, सारे जैसे हैं

उसे कहो कि सितारे शुमार तो न करे
कहो क़दम धरे, छोड़े उतारे जैसे हैं

ये ग़म के फूल हैं या शेर देखिए और बस
हमें पता है कि हम ने निखारे जैसे हैं

- Ahmad Ata
0 Likes

Relationship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Ata

As you were reading Shayari by Ahmad Ata

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Ata

Similar Moods

As you were reading Relationship Shayari Shayari