kal khwaab mein ik pari mili thi
ik bose ke b'ad ud gai thi
main us ke liye dhanak bana tha
vo aur hi rang dhoondhti thi
devi thi jise main poojta tha
vo aur kisi ko sochti thi
main raah-e-gunah par chala tha
is raah mein kaisi teergi thi
chhe raaste waan nikal rahe the
ik samt zara si raushni thi
aakhir main dua mein dhal chuka tha
duniya mujhe aa ke dekhti thi
कल ख़्वाब में इक परी मिली थी
इक बोसे के ब'अद उड़ गई थी
मैं उस के लिए धनक बना था
वो और ही रंग ढूँढती थी
देवी थी जिसे मैं पूजता था
वो और किसी को सोचती थी
मैं राह-ए-गुनाह पर चला था
इस राह में कैसी तीरगी थी
छे रास्ते वाँ निकल रहे थे
इक सम्त ज़रा सी रौशनी थी
आख़िर मैं दुआ में ढल चुका था
दुनिया मुझे आ के देखती थी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Ata
our suggestion based on Ahmad Ata
As you were reading Duniya Shayari Shayari