khwaab ka izn tha ta'beer-e-ijaazat thi mujhe | ख़्वाब का इज़्न था ता'बीर-ए-इजाज़त थी मुझे

  - Ahmad Ata

khwaab ka izn tha ta'beer-e-ijaazat thi mujhe
vo samay aisa tha marne mein suhulat thi mujhe

ek be-barg shajar dhund mein lipta hua tha
shaakh par baithi duaon ki zaroorat thi mujhe

raat masjid mein andhera to bahut tha lekin
yaad bhooli si koi raah-e-ibaadat thi mujhe

ai meri jaan wahi ghalib ki si haalat thi meri
tere jaane ki ghadi thi ki qayamat thi mujhe

daastaan-go ne dikha di thi mujhe shehzaadi
aur phir khwaab mein chalne ki bhi aadat thi mujhe

ख़्वाब का इज़्न था ता'बीर-ए-इजाज़त थी मुझे
वो समय ऐसा था मरने में सुहुलत थी मुझे

एक बे-बर्ग शजर धुँद में लिपटा हुआ था
शाख़ पर बैठी दुआओं की ज़रूरत थी मुझे

रात मस्जिद में अंधेरा तो बहुत था लेकिन
याद भूली सी कोई राह-ए-इबादत थी मुझे

ऐ मिरी जाँ वही 'ग़ालिब' की सी हालत थी मिरी
तेरे जाने की घड़ी थी कि क़यामत थी मुझे

दास्ताँ-गो ने दिखा दी थी मुझे शहज़ादी
और फिर ख़्वाब में चलने की भी आदत थी मुझे

  - Ahmad Ata

Yaad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Ata

As you were reading Shayari by Ahmad Ata

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Ata

Similar Moods

As you were reading Yaad Shayari Shayari