hamaara ishq salaamat hai yaani ham abhi hain | हमारा इश्क़ सलामत है यानी हम अभी हैं

  - Ahmad Ata

hamaara ishq salaamat hai yaani ham abhi hain
wahi shadeed aziyyat hai yaani ham abhi hain

usi puraani kahaani mein saans lete hain
wahi puraani mohabbat hai yaani ham abhi hain

na jaane kab se dar-e-daastaan pe baithe hain
aur intizaar ki himmat hai yaani ham abhi hain

talab ke karb mein ik marg ke dua-go the
talab mein waisi hi shiddat hai yaani ham abhi hain

kasi ke naam pe ham dosti nibhaate the
aur ab bhi waisi hi shohrat hai yaani ham abhi hain

talab badhaati chali ja rahi hai apni havas
so qadre khaam qanaat hai yaani ham abhi hain

kalaam-e-'meer ke sadqe mein sher hote hain
jo bait hai so qayamat hai yaani ham abhi hain

ajab ye sher hain apne ki jin mein ham bhi nahin
bas ek gham ki sharaarat hai yaani ham abhi hain

ye ishq peshgi daar-o-rasan ke hangaame
ye rang zinda salaamat hai yaani ham abhi hain

ameer-e-shahr hai bechain shaikh khauf-zada
abhi talak ye adavat hai yaani ham abhi hain

na poori hai na adhuri ye daastaan-e-alam
koi sooni si hikaayat hai yaani ham abhi hain

हमारा इश्क़ सलामत है यानी हम अभी हैं
वही शदीद अज़िय्यत है यानी हम अभी हैं

उसी पुरानी कहानी में साँस लेते हैं
वही पुरानी मोहब्बत है यानी हम अभी हैं

न जाने कब से दर-ए-दास्ताँ पे बैठे हैं
और इंतिज़ार की हिम्मत है यानी हम अभी हैं

तलब के कर्ब में इक मर्ग के दुआ-गो थे
तलब में वैसी ही शिद्दत है यानी हम अभी हैं

कसी के नाम पे हम दोस्ती निभाते थे
और अब भी वैसी ही शोहरत है यानी हम अभी हैं

तलब बढ़ाती चली जा रही है अपनी हवस
सो क़द्रे ख़ाम क़नाअत है यानी हम अभी हैं

कलाम-ए-'मीर' के सदक़े में शेर होते हैं
जो बैत है सो क़यामत है यानी हम अभी हैं

अजब ये शेर हैं अपने कि जिन में हम भी नहीं
बस एक ग़म की शरारत है यानी हम अभी हैं

ये इश्क़ पेशगी दार-ओ-रसन के हंगामे
ये रंग ज़िंदा सलामत है यानी हम अभी हैं

अमीर-ए-शहर है बेचैन शैख़ ख़ौफ़-ज़दा
अभी तलक ये अदावत है यानी हम अभी हैं

न पूरी है न अधूरी ये दास्तान-ए-अलम
कोई सुनी सी हिकायत है यानी हम अभी हैं

  - Ahmad Ata

Ulfat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Ata

As you were reading Shayari by Ahmad Ata

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Ata

Similar Moods

As you were reading Ulfat Shayari Shayari