koi gumaan hoon koi yaqeen hoon ki main nahin hoon
main dhoondhta hoon ki main kahi hoon ki main nahin hoon
kahi sitaare kahi hain jugnoo kahi andhere
main aasmaan hoon koi zameen hoon ki main nahin hoon
main ek dil hoon kisi ke dil mein ki waahima hoon
koi makaan hoon koi makeen hoon ki main nahin hoon
dikhaai deta tha jaa-b-jaa dil ke haashie mein
wahan nahin hoon to dil-nasheen hoon ki main nahin hoon
meri kamaai the yaar mere kahaan gaye hain
jo sochta hoon galat nahin hoon ki main nahin hoon
कोई गुमाँ हूँ कोई यक़ीं हूँ कि मैं नहीं हूँ
मैं ढूँढता हूँ कि मैं कहीं हूँ कि मैं नहीं हूँ
कहीं सितारे कहीं हैं जुगनू कहीं अँधेरे
मैं आसमाँ हूँ कोई ज़मीं हूँ कि मैं नहीं हूँ
मैं एक दिल हूँ किसी के दिल में कि वाहिमा हूँ
कोई मकाँ हूँ कोई मकीं हूँ कि मैं नहीं हूँ
दिखाई देता था जा-ब-जा दिल के हाशिए में
वहाँ नहीं हूँ तो दिल-नशीं हूँ कि मैं नहीं हूँ
मिरी कमाई थे यार मेरे कहाँ गए हैं
जो सोचता हूँ ग़लत नहीं हूँ कि मैं नहीं हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Ata
our suggestion based on Ahmad Ata
As you were reading Mazdoor Shayari Shayari