mere liye tira hona ahem ziyaada hai | मिरे लिए तिरा होना अहम ज़ियादा है

  - Ahmad Ata

mere liye tira hona ahem ziyaada hai
ye baaki zikr-e-wujood-o-adam ziyaada hai

vo khaali-pan hai kahi kuchh kashish nahin hai mujhe
koi khushi hai bahut aur na gham ziyaada hai

tire baghair zaroorat hi kiya padi hai mujhe
tire baghair ye dam hai so dam ziyaada hai

ye meri aankh hai yaa khwaab kaise thehrenge
ki seem-khurda zameen hai jo nam ziyaada hai

mera ye dil ki jise koi pech-o-taab nahin
tiri ye zulf jise pech-o-kham ziyaada hai

tu khoob jaanta hai yaar-e-be-niyaaz ki ab
junoon bahut hai mujhe phir bhi kam ziyaada hai

मिरे लिए तिरा होना अहम ज़ियादा है
ये बाक़ी ज़िक्र-ए-वजूद-ओ-अदम ज़ियादा है

वो ख़ाली-पन है कहीं कुछ कशिश नहीं है मुझे
कोई ख़ुशी है बहुत और न ग़म ज़ियादा है

तिरे बग़ैर ज़रूरत ही किया पड़ी है मुझे
तिरे बग़ैर ये दम है सो दम ज़ियादा है

ये मेरी आँख है याँ ख़्वाब कैसे ठहरेंगे
कि सीम-ख़ुर्दा ज़मीं है जो नम ज़ियादा है

मिरा ये दिल कि जिसे कोई पेच-ओ-ताब नहीं
तिरी ये ज़ुल्फ़ जिसे पेच-ओ-ख़म ज़ियादा है

तू ख़ूब जानता है यार-ए-बे-नियाज़ कि अब
जुनूँ बहुत है मुझे फिर भी कम ज़ियादा है

  - Ahmad Ata

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Ata

As you were reading Shayari by Ahmad Ata

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Ata

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari