vo zamaana hai ki ab kuch nahin deewane mein | वो ज़माना है कि अब कुछ नहीं दीवाने में - Ahmad Ata

vo zamaana hai ki ab kuch nahin deewane mein
naam leta hai junoon ka kabhi anjaane mein

qismat apni hai ki hum nauhagaari karte hue
karein zanjeer-zani dil ke azaa-khaane mein

kya hue log purane jinhen dekha bhi nahin
ai zamaane humein taakheer hui aane mein

in shikasta dar-o-deewar ki soorat hum bhi
bahut aaseb-zada honge nazar aane mein

apne aabaai makaanon se palatte hue hum
kitne naazaan hain koi din rahe veeraane mein

hum to kuch aur tarah hote the barbaad ata
ab to kuch aur se haalaat hain may-khaane mein

वो ज़माना है कि अब कुछ नहीं दीवाने में
नाम लेता है जुनूँ का कभी अनजाने में

क़िस्मत अपनी है कि हम नौहागरी करते हुए
करें ज़ंजीर-ज़नी दिल के अज़ा-ख़ाने में

क्या हुए लोग पुराने जिन्हें देखा भी नहीं
ऐ ज़माने हमें ताख़ीर हुई आने में

इन शिकस्ता दर-ओ-दीवार की सूरत हम भी
बहुत आसेब-ज़दा होंगे नज़र आने में

अपने आबाई मकानों से पलटते हुए हम
कितने नाज़ाँ हैं कोई दिन रहे वीराने में

हम तो कुछ और तरह होते थे बर्बाद 'अता'
अब तो कुछ और से हालात हैं मय-ख़ाने में

- Ahmad Ata
0 Likes

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Ata

As you were reading Shayari by Ahmad Ata

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Ata

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari