dil koi phool nahin aur sitaara bhi nahin
kaar-e-duniya ka nahin aur tumhaara bhi nahin
ham kisi samt chalen raah lagen kho jaayen
raah-e-gum-gashta hain so aisa ishaara bhi nahin
ham ko to vasl ke qaabil nahin jaana tum ne
ham chale jaayen kahi tum ko gawara bhi nahin
na-rasaai ne ajab taur sikhaaye hain ata
yaani bhule bhi nahin tum ko pukaara bhi nahin
दिल कोई फूल नहीं और सितारा भी नहीं
कार-ए-दुनिया का नहीं और तुम्हारा भी नहीं
हम किसी सम्त चलें राह लगें खो जाएँ
राह-ए-गुम-गश्ता हैं सो ऐसा इशारा भी नहीं
हम को तो वस्ल के क़ाबिल नहीं जाना तुम ने
हम चले जाएँ कहीं तुम को गवारा भी नहीं
ना-रसाई ने अजब तौर सिखाए हैं 'अता'
यानी भूले भी नहीं तुम को पुकारा भी नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Ata
our suggestion based on Ahmad Ata
As you were reading Dil Shayari Shayari