ishq se bhag ke jaaya bhi nahin ja saka
naqsh-e-yak-khwaab mitaaya bhi nahin ja saka
ham use dekh ke nazrein bhi hata sakte nahin
aur use dekhne jaaya bhi nahin ja saka
vo kahi khwaab mein poshida koi khwaab sahi
der tak dard dabaya bhi nahin ja saka
zer-e-lab hain jo sadaaein koi sunta hi nahin
aur bahut shor machaaya bhi nahin ja saka
dil chhupaaya kisi titli ke paron ke neeche
ye chhupaana to chhupaaya bhi nahin ja saka
raat ne geet sunaaya tha kisi subh ka geet
geet aisa kahi gaaya bhi nahin ja saka
ik naya rang udaaya hai in aankhon se ata
rang rangon mein milaaya bhi nahin ja saka
इश्क़ से भाग के जाया भी नहीं जा सकता
नक़्श-ए-यक-ख़्वाब मिटाया भी नहीं जा सकता
हम उसे देख के नज़रें भी हटा सकते नहीं
और उसे देखने जाया भी नहीं जा सकता
वो कहीं ख़्वाब में पोशीदा कोई ख़्वाब सही
देर तक दर्द दबाया भी नहीं जा सकता
ज़ेर-ए-लब हैं जो सदाएँ कोई सुनता ही नहीं
और बहुत शोर मचाया भी नहीं जा सकता
दिल छुपाया किसी तितली के परों के नीचे
ये छुपाना तो छुपाया भी नहीं जा सकता
रात ने गीत सुनाया था किसी सुब्ह का गीत
गीत ऐसा कहीं गाया भी नहीं जा सकता
इक नया रंग उड़ाया है इन आँखों से 'अता'
रंग रंगों में मिलाया भी नहीं जा सकता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Ata
our suggestion based on Ahmad Ata
As you were reading Neend Shayari Shayari