ai miyaan kaun ye kehta hai mohabbat ki hai
baat ye hai ki yahan baat zaroorat ki hai
phir koi chaak garebaan liye firta hai
hazrat-e-ishq ne phir koi sharaarat ki hai
bas yoonhi ek hayoola sa nazar aaya tha
aur phir dil ne dhadkane ki jo shiddat ki hai
vo meri chaah ka vaise bhi talabgaar na tha
phir mere dil ne sambhalne mein bhi ujlat ki hai
ham bahut door chale aaye hain basne ko ata
is se pehle bhi bahut door se hijrat ki hai
ऐ मियाँ कौन ये कहता है मोहब्बत की है
बात ये है कि यहाँ बात ज़रूरत की है
फिर कोई चाक गरेबान लिए फिरता है
हज़रत-ए-इश्क़ ने फिर कोई शरारत की है
बस यूँही एक हयूला सा नज़र आया था
और फिर दिल ने धड़कने की जो शिद्दत की है
वो मिरी चाह का वैसे भी तलबगार न था
फिर मिरे दिल ने सँभलने में भी उजलत की है
हम बहुत दूर चले आए हैं बसने को 'अता'
इस से पहले भी बहुत दूर से हिजरत की है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Ata
our suggestion based on Ahmad Ata
As you were reading Dil Shayari Shayari