ye aks aap hi bante hain ham se milte hain | ये अक्स आप ही बनते हैं हम से मिलते हैं

  - Ahmad Ata

ye aks aap hi bante hain ham se milte hain
ki naakhuno ke baghair apne zakham chhilte hain

khabar mili hai ki tu khwaab dekhti hai abhi
khabar mili hai tiri samt phool khilte hain

hamein ye waqt ki bakhiya-gari pasand nahin
agarche waqt ke haathon se zakham silte hain

hamaari umr se badh kar ye bojh daala gaya
so ham badon se buzurgon ki tarah milte hain

kisi ko khwaab mein akshar pukaara jaata hai
ata isee liye sote mein hont hilte hain

ये अक्स आप ही बनते हैं हम से मिलते हैं
कि नाख़ुनों के बग़ैर अपने ज़ख़्म छिलते हैं

ख़बर मिली है कि तू ख़्वाब देखती है अभी
ख़बर मिली है तिरी सम्त फूल खिलते हैं

हमें ये वक़्त की बख़िया-गरी पसंद नहीं
अगरचे वक़्त के हाथों से ज़ख़्म सिलते हैं

हमारी उम्र से बढ़ कर ये बोझ डाला गया
सो हम बड़ों से बुज़ुर्गों की तरह मिलते हैं

किसी को ख़्वाब में अक्सर पुकारा जाता है
'अता' इसी लिए सोते में होंट हिलते हैं

  - Ahmad Ata

Muskurahat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Ata

As you were reading Shayari by Ahmad Ata

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Ata

Similar Moods

As you were reading Muskurahat Shayari Shayari