main na hone se hua ya'ni badi taqseer ki
keemiya-gar ne meri mitti magar ikseer ki
un dinon aaya tha tu jab hausla darkaar tha
khair ho teri ki tu ne teergi tanveer ki
aur socha aur socha aur socha aur phir
us khuda-e-lam-yazal ne aur hi taqdeer ki
aashiqan suniye b-gosh-e-hosh meri dastaan
dastaan kuchh bhi nahin yaaron ne bas tashheer ki
main to mitti ho raha tha ishq mein lekin ata
aa gai mujh mein kahi se be-dimaaghi meer ki
मैं न होने से हुआ या'नी बड़ी तक़्सीर की
कीमिया-गर ने मिरी मिटी मगर इक्सीर की
उन दिनों आया था तू जब हौसला दरकार था
ख़ैर हो तेरी कि तू ने तीरगी तनवीर की
और सोचा और सोचा और सोचा और फिर
उस ख़ुदा-ए-लम-यज़ल ने और ही तक़दीर की
आशिक़ाँ सुनिए ब-गोश-ए-होश मेरी दास्ताँ
दास्ताँ कुछ भी नहीं यारों ने बस तश्हीर की
मैं तो मिट्टी हो रहा था इश्क़ में लेकिन 'अता'
आ गई मुझ में कहीं से बे-दिमाग़ी 'मीर' की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Ata
our suggestion based on Ahmad Ata
As you were reading Andhera Shayari Shayari