sabza hawa se avvaleen barsaat mein khula
vo shakhs mujh se pehli mulaqaat mein khula
rooh-o-dil-o-badan ke taqaze saraab the
ye bhi azaab kashmakash-e-zaat mein khula
saare badan pe zakham numayaan the din chadhe
shab bhar raha tha koi meri ghaat mein khula
mitne the saare rang dhanak ke nigaah se
tahreer ye bhi dukh tha mere haath mein khula
kaisa vo dost tha ki khuli dushmani bhi ki
khanjar chhupa ke rakh diya sougaat mein khula
aaye to na-muraad na jaaye havaa-e-gham
darwaaza ham ne chhod diya raat mein khula
सब्ज़ा हवा से अव्वलीं बरसात में खुला
वो शख़्स मुझ से पहली मुलाक़ात में खुला
रूह-ओ-दिल-ओ-बदन के तक़ाज़े सराब थे
ये भी अज़ाब कश्मकश-ए-ज़ात में खुला
सारे बदन पे ज़ख़्म नुमायाँ थे दिन चढ़े
शब भर रहा था कोई मेरी घात में खुला
मिटने थे सारे रंग धनक के निगाह से
तहरीर ये भी दुख था मिरे हात में खुला
कैसा वो दोस्त था कि खुली दुश्मनी भी की
ख़ंजर छुपा के रख दिया सौग़ात में खुला
आए तो ना-मुराद न जाए हवा-ए-ग़म
दरवाज़ा हम ने छोड़ दिया रात में खुला
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Azeem
our suggestion based on Ahmad Azeem
As you were reading Revenge Shayari Shayari