sitam-shiaar zamaane pe khauf taari rakh
mile tu jab bhi shareefon se inkisaari rakh
tujhe milega tira muddaa zaroor ik din
magar hai shart musalsal talash jaari rakh
ye tera husn kahi haadisa na ban jaaye
sitam-zareef zamaane se hoshiyaari rakh
safar pe kab tujhe jaana pade ye kya maaloom
jo kaam waqt pe aaye wahi sawaari rakh
tujhe vaqaar bachaana hai har tarah apna
har ek baat ki duniya se hoshiyaari rakh
unhin ke faiz se hal hongi mushkilein saari
khuda-parast buzurgon ki jaankaari rakh
na jeene denge watan mein tire tujhe ahmar
munaafiqon ke liye tu bhi zo'm-daari rakh
सितम-शिआ'र ज़माने पे ख़ौफ़ तारी रख
मिले तू जब भी शरीफ़ों से इंकिसारी रख
तुझे मिलेगा तिरा मुद्दआ' ज़रूर इक दिन
मगर है शर्त मुसलसल तलाश जारी रख
ये तेरा हुस्न कहीं हादिसा न बन जाए
सितम-ज़रीफ़ ज़माने से होशियारी रख
सफ़र पे कब तुझे जाना पड़े ये क्या मालूम
जो काम वक़्त पे आए वही सवारी रख
तुझे वक़ार बचाना है हर तरह अपना
हर एक बात की दुनिया से होशियारी रख
उन्हीं के फ़ैज़ से हल होंगी मुश्किलें सारी
ख़ुदा-परस्त बुज़ुर्गों की जानकारी रख
न जीने देंगे वतन में तिरे तुझे 'अह्मर'
मुनाफ़िक़ों के लिए तू भी ज़ो'म-दारी रख
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmer Jalesari
our suggestion based on Ahmer Jalesari
As you were reading Taareef Shayari Shayari