zamaane ke hamein dastoor apnaane bhi hote hain | ज़माने के हमें दस्तूर अपनाने भी होते हैं

  - Ahmer Jalesari

zamaane ke hamein dastoor apnaane bhi hote hain
masaail hon agar uljhe to suljhaane bhi hote hain

khushi milti hai jin ko un ko gham paane bhi hote hain
jo paate hain urooj un par zawaal aane bhi hote hain

ghazal-goi se ham bhi rabt rakhte hain isee bais
kabhi dil doston ke ham ko bahaalne bhi hote hain

hamaari izzat-o-naamoos ke jo log hain khwaahan
unhin logon mein shaamil dost deewane bhi hote hain

panaahen de ke jin ki zindagi ham ne bachaai hai
kabhi un baagiyon par sang barsaane bhi hote hain

mata-e-husn se allah ne jin ko nawaaza hai
unhin ke vaaste kuchh log deewane bhi hote hain

shumaar un ka khuda ke naam se karte raho ahmar
kamaal-e-bandagi tasbeeh ke daane bhi hote hain

ज़माने के हमें दस्तूर अपनाने भी होते हैं
मसाइल हों अगर उलझे तो सुलझाने भी होते हैं

ख़ुशी मिलती है जिन को उन को ग़म पाने भी होते हैं
जो पाते हैं उरूज उन पर ज़वाल आने भी होते हैं

ग़ज़ल-गोई से हम भी रब्त रखते हैं इसी बाइ'स
कभी दिल दोस्तों के हम को बहलाने भी होते हैं

हमारी इज़्ज़त-ओ-नामूस के जो लोग हैं ख़्वाहाँ
उन्हीं लोगों में शामिल दोस्त दीवाने भी होते हैं

पनाहें दे के जिन की ज़िंदगी हम ने बचाई है
कभी उन बाग़ियों पर संग बरसाने भी होते हैं

मता-ए-हुस्न से अल्लाह ने जिन को नवाज़ा है
उन्हीं के वास्ते कुछ लोग दीवाने भी होते हैं

शुमार उन का ख़ुदा के नाम से करते रहो 'अह्मर'
कमाल-ए-बंदगी तस्बीह के दाने भी होते हैं

  - Ahmer Jalesari

Khushi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmer Jalesari

As you were reading Shayari by Ahmer Jalesari

Similar Writers

our suggestion based on Ahmer Jalesari

Similar Moods

As you were reading Khushi Shayari Shayari