suraj dooba nikla chaand
chat par aaya mera chaand
eed ka sab ne dekha chaand
ham ne dekha apna chaand
deewane be-taab hue
jab parde se jhaanka chaand
us ka dushman koi nahin
sab ke liye hai pyaara chaand
ahad-e-jawaani mein akshar
hota hai sharmeela chaand
dekhte hi us ka chehra
baadal mein chhup jaata chaand
aap ke aangan mein ahmar
pichhli shab kyun aaya chaand
सूरज डूबा निकला चाँद
छत पर आया मेरा चाँद
ईद का सब ने देखा चाँद
हम ने देखा अपना चाँद
दीवाने बे-ताब हुए
जब पर्दे से झाँका चाँद
उस का दुश्मन कोई नहीं
सब के लिए है प्यारा चाँद
अहद-ए-जवानी में अक्सर
होता है शर्मीला चाँद
देखते ही उस का चेहरा
बादल में छुप जाता चाँद
आप के आँगन में 'अह्मर'
पिछली शब क्यों आया चाँद
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmer Jalesari
our suggestion based on Ahmer Jalesari
As you were reading Dushman Shayari Shayari