gulon pe shabnam nahin lahu hai | गुलों पे शबनम नहीं लहू है - Aijaz Asad

gulon pe shabnam nahin lahu hai
ye kaisi saugaat-e-rang-o-boo hai

bahaar khanjar-b-dast aayi
har ik manzar lahu lahu hai

koi tamannaa nahin hai mujh ko
sukoon-e-dil ki hi aarzoo hai

main ik muddat se laapata hoon
mujhe khud apni hi justuju hai

ye be-dili ki namaaz teri
gumaan hota hai be-wuzoo hai

is ko akshar main sochta hoon
meri ghazal ki jo aabroo hai

mera nahin hai asad ye chehra
to kaun sheeshe mein roo-b-roo hai

गुलों पे शबनम नहीं लहू है
ये कैसी सौग़ात-ए-रंग-ओ-बू है

बहार ख़ंजर-ब-दस्त आई
हर इक मंज़र लहू लहू है

कोई तमन्ना नहीं है मुझ को
सुकून-ए-दिल की ही आरज़ू है

मैं इक मुद्दत से लापता हूँ
मुझे ख़ुद अपनी ही जुस्तुजू है

ये बे-दिली की नमाज़ तेरी
गुमान होता है बे-वुज़ू है

इस को अक्सर मैं सोचता हूँ
मिरी ग़ज़ल की जो आबरू है

मिरा नहीं है 'असद' ये चेहरा
तो कौन शीशे में रू-ब-रू है

- Aijaz Asad
0 Likes

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aijaz Asad

As you were reading Shayari by Aijaz Asad

Similar Writers

our suggestion based on Aijaz Asad

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari